Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

WE-ARE-AHLEHADEES - Topics
Create Your Own App Store

* WE-ARE-AHLEHADEES > Topics


Subject: Shaikh Jalaluddin Qasmi
Replies: 1 Views: 897

ragstori 27.02.11 - 11:33am
RamzanKiFazilat_www.thealim.co.cc.dat_000368560.jpg
474631AED9D110EF04146F_Large.jpg

shaikh Jalaluddin Quasmi ek famous ahlehadees scholar hain.
Jo shirk aur bidaat k khatma aur sahih deen ki taleemaat ko muslim awaam tak pahonchane k liye jaddo-jahed kar rahe hain...
Aap ne darul uloom devband(U.P) se Aalimiyat aur Fazilat ki sanad li.
Allah ne aapko gazab ka hafeza diya hai.
Yehi wajah hai k aapne 11saal ki umar me sirf 6 mahine k mukhtasar se waqtme Quran shareef ko hifz kar liya.
Aapko kayi hazaar Ahadith arabi zuban me hifz hain. Aapka anzaad-e-bayaan aur andaz-e-taqrir dusre islamic scholars se alag aur nirala hai.
Aap koi bhi baat begair dalil(proof from sahi hadith and Quran) ke nhi kahte,harbaat ke mauqif me aap hadith pesh karte hain aur isi tarh sahi hadith aur Quran ki roshni me aap Baatil aur Zayeef ahadith aur Dalaail ko mustarad karte hain.
Aap ne 8 saal tak gulbarga(karnataka)jaise shahar(jahan bidaat wo khurafaat aam hain)me dawat-wo-tableeg ka kaam anjaam diya.
aur allah k fazal se kayi musalman bhai sahih raast par aa gaye aur unho ne maslake kitaabo sunnat qubul kar liya.
Aapne wohan khitaabat aur imaamat k faraayez bhi anjaam diye.
Uske baad aap ko saare Hindustan me Tamaam jagho se bulaya jane laga.Aapko Jeddah bhi bulaaya gaya,jaha aapne Ramzaan kemubaarak mahine me poore Ramzaan ke mahine apni Baseerat Afroz aur ghazab ki pur-fikr tafaasir-o-taqaarir se islaam ki sahi aur zinda-o-jaaved tasveer ko pesh kiya.
Kayi mashhoor aur maaya naaz salafi Aalimo ki nazar me aap maujuda waqt ke sabse behtreen Aalim hain. Alhamdulillah,aapne kayi kitabo k jawab me apni kitaabein bhi likhi hain.. Jaise k hayedrabad se chhapi hui maulana khalid saifullah rahmani ki kitaabRaahe Eyetedaal k jawab me aapneAhsanul Jidaal naami kitab likhi.. Jo k har jagah mash-hoor hui.Pakistan se chapi ek hanafi aalim ki kitaab 12 masaayel 20 lakh inaamka jawab aapne Rafa-ul-shukook wal-awhaam k naam se likha.
Aur uspar apka bangalore me khitab b hua.Aapko Arabi,Farsi k elava english aur Sanskirit jaisi zubaano par bhi uboor haasilhai.
Garaz k aap islam k ek azeem muballig aur maayah naaz salafi aalim hain.
*

ragstori 3.03.11 - 07:02am
Shaikh jalaluddi qasmi k bayanaat ki links hum ne de rakhi hai.Aap check kar sakte hain... *


* Reply
* WE-ARE-AHLEHADEES Forum


Search:
topics replies


* WE-ARE-AHLEHADEES

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store